+ All Categories
Home > Documents > Motivational Shayari in Hindi

Motivational Shayari in Hindi

Date post: 27-Oct-2021
Category:
Upload: others
View: 12 times
Download: 0 times
Share this document with a friend
24
For more shayaris visit www.mushaira.in Page 1 Motivational Shayari in Hindi
Transcript
Motivational Shayari
For more shayaris visit www.mushaira.in Page 2


Har Meel Ke Patthar PeLikh Do Ye Ibaarat,
Manzil Nahi Milti Nakaam Iraadon Se.
-----------------------


Zinda Rehna Hai Toh Halaat Se Darna Kaisa,
Jang Lazim Ho Toh Lashkar Nahi Dekhe Jaate
-----------------------




Manzil Mile Na Mile
Hum Koshish Bhi Na Karein
Ye To Galat Baat Hai.
-----------------------



--
Inhi Zarron Se Kal Honge
Naye Kuchh Kaarwan Paida,
Gubaar e Karwaan Hokar.




Kaam Karo Aisa Ke Pehchan Ban Jaye,
Har Kadam Aisa Chalo Ki Nishan Ban Jaye,
Yehan Zindagi To Har Koi Kaat Leta Hai,
Zindagi Jiyo Iss Kadar Ki Misaal Ban Jaye.
-----------------------




Jab Tutne Lage Hausla Toh Bas Yeh Yaad Rakhna,
Bina Mehnat Ke Haasil Takht-o-Taj Nahi Hote,
Dhundh Lena Andhere Mein Hi Manzil Apni Dosto,
Kyunki Jugnu Kabhi Roshni Ke Mohtaj Nahi Hote.
-----------------------




Fikr Mat Kar Bande Kalam Kudrat Ke Haath Hai,
Likhne Wale Ne Likh Diya Takdeer Tere Saath Hai,
Fikr Karta Hai Kyun Fikr Se Hota Hai Kya,
Rakh Khuda Pe Bharosa Dekh Fir Hota Hai Kya.
-----------------------




Ye Zindagi Haseen Hai Iss Se Pyar Karo,
Abhi Hai Raat To Subah Ka Intezar Karo,
Wo Pal Bhi Ayega Jiski Khwahish Hai Aapko,
Rab Par Rakho Bharosa Waqt Par Aitbar Karo.
-----------------------




Safar Mein Mushkile Aaye
Koi Jab Rasta Roke
-----------------------


Raah Sangharsh Ki Jo Chalta Hai,
Wo Hi Sansar Ko Badlta Hai,
Jisne Raaton Se Jang Jeeti Hai,
Surya Ban Kar Wo Hi Nikalta Hai.
-----------------------



Sangharsh Me Aadmi Akela Hota Hai,
Safalta Me Duniya Uske Saath Hoti Hai,
Jab Jab Jag Kisi Par Hansa Hai,
Tab Tab Usi Ne Itihaas Racha Hai.
-----------------------




Jo Muskura Raha Hai Use Dard Ne Pala Hoga,
Jo Chal Raha Hai Uske Paao Me Chhala Hoga,
Bina Sangharsh Ke Insaan Chamak Nahi Sakta.
Jo Jalega Usi Diye Mein To Ujala Hoga.
-----------------------


Kehti Hai Duniya Bas Ab Haar Maan Ja,
Ummid Pukarti Hai Bas Ek Baar Aur Sahi.
-----------------------


Manzil Toh Mil Hi Jayegi Bhatak Ke Hi Sahi,
-----------------------


Rukti Nahi Kisi Ke Liye Mauje-Zindgi,
Dhaare Se Jo Hate Woh Kinare Par Aa Gaye.
-----------------------



Kabhi khushi ki asha
kabhi gam ki nirasha
kabhi haqiqat ki dhoop
kabhi sapno ki chaav
shayad yahi hai zindagi ki paribhasha
-----------------------




Umeed ko kabhi khoya nahi karte
sahil agar dur ho toa roya nahi karte
rakhte hai jo dil main tadap kuch paane ki
woh log toa raaton ko bhi soya nahi karte
-----------------------




Samne Manzil To Raste Na Modna.
Jo Man Me Ho Wo Khwab Na Todna.
Har Kadam Par Milegi Safalta.
Bas Aasman Chhune Ke Liye Zameen Na Chhodna.
-----------------------




Abhi suraj dooba nahi zara si shaam toa hone do
main khud hu laut jaunga zara nakaam toa hone do
Mujhe badanaam karne ka bahana dhoondta he zamana
are main khud ho jaunga badnaam pehle mera naam toa hone
do




Samne Ho Manzil To Kadam Na Modna
Jo Dil Mai Ho Wo Khwab Na Todna
Har Kadam Par Milegi Kamyabi Apko
Sirf Sitare Chhune Ke Liye Kabhi Zami Na Chhodna
-----------------------


Uthho To Aise Uthho Fakr Ho Bulandi Ko,
Jhuko To Aise Jhuko Bandgi Bhi Naaj Kare.
-----------------------


Chalo Chaand Ka Kirdar Apna Lein Hum Dosto,
Daag Apne Paas Rakhein Aur Roshni Baant Dein.
-----------------------



Muskarate Rahoge To Duniya
Aapke Kadmo Me Hogi,
Varna Aanshuon Ko To
-----------------------




Jo ho gaya use socha nahi karte
jo mil gaya use khoya nahi karte
kuch haasil unhe hota hai zindagi main
jo waqt ki halat me roya nahi karte
-----------------------



Darr Mujhe Bhi Laga Fasla Dekh Kar,
Par Main Badta Gaya Raasta Dekh Kar,
Khud Ba Khud Mere Nazdeek Aati Gayi,
Meri Manzil Mera Hausla Dekhkar.
-----------------------




Khuda Taufeeq Deta Hai Unhe Jo Ye Samajhte Hain,
Ke Khud Apne Hi Haatho Se Bana Karti Hain Takdeere.
Pankho Ko Khol Apne Zamana Sirf Udaan Dekhta Hai,
Yun Zameen Par Baithkar Aasmaan Kya Dekhta Hai.
-----------------------

Recommended